history of selfies
Talking Tim
Tuesday, 30 September 2014
Thursday, 11 September 2014
MASHRAY MAY JARAIM KAY FAROG KAY BAIS TEHZEEB SAY DOORI....
Ye bat to hum sab hi jantay hain kay hamaray mashray may aye din jaraim barhtay chalay ja rahay hain..or isi kay bais hum apni mashrati or islami ikhlaqiyat se door jarhay hain..zahir hay jis mashray may jitnay ziada jaraim aam hongen..us mashray say bharosa aitamad or sukun khatam hota chala jae gah..
Pehlay jaraim kum thay to log ajnabi or gair logon par bharosa bhi karliya kartay thay..kisi bhi rah chaltay se baat kartay nahi dartay thay..salam dua har milnay or na milne walay se rakhtay thay..agar koi raah geer ksi kaam se ghar bhi ajata tha to usay ghar kay andar latay nahi dartay thay..samaji daira waseeh tha par jese jese jaraim barhtay gaye log ajnabi dar ajnabi hotay chalay gaye..ab agar darwazay par aa kar koi aurat namaz parhnay ki garz se bhi ghar kay andar anay ki ijazat mangay to koi na day gah..raah may khara koi shakhs sawari se lift mangay to koi na day gah..sarak par khara koi shakhs baat karna chahay to wo bhi nagawar guzray gah..yahan tak kay agar koi shakhs kisi ajnabi se salam kar bethay to wo ajnabi pareshan nazar ata hay...may khud un logo may se hun jo sarak par ksi gari ko lut-tay dekhtay hen to tezi se apni gari nikaaal lete hen..agar kisi ka accident huwa dekhtay hain to wahan se apni jaan bacha kar bhagtay hen..
kyun kay agar us ko hospital lay gaye to khud police kay chakar kaat-tay kaat-tay thak jain gen..hum khud har tarah ka jurm ankhon se dekh kar bhi ankhain band karlete hain..lekin sochnay ki baat ye hay kay is sab may galti kis ki hay?un logo ki jo aitbaar nahi kartay?ya un logo ki jin ki waja se mashray say aitbar uth gaya hay..mashra hmesha logon kay bahmi talluq or aitbaar se mil kar banta hay..har shakhs dusray pay inhisaar karta hay..par agar aitbaar uth jaye to mashra tabahi kay dahanay par akhara hota hay or badqismati say yahi hmaray mashray kay sath bhi huwa..ab na aurat ko aurat par bharosa hay or na mard ko mard par..lekin sawal ye hay kay ab mashray may aitbaar kese bahaal karen?
Zahir hay jis kay farog k bais ye mashra be-aitbaar huwa hay usi ko control karnay ki zarurat hay..agar hmaray andar se chori chakari ka dar khatam hojaye
.
..aye din ki wardatain mashray se uth jain to loag phir se aik dusray par bharosa karna shuru karden gen..salam ka jawab bhi khushi se dain gen..rawabit barhanay se bhi nahi daren gen..or isi tarah mushkil may paray raah geeron ki madad bhi karen gen..ye sab kuch to humay hmara mazhab islam bhi batata hay..par afsos kay ger musalmano nay islam ki sari achaian apnay mashray may bhar lin or hum nay unki sari buraian apnay mashray may jazb karlin..ikhlaqi,samaji or islami tehzeeb ka daaromadar aitbaar par hay or ye aitbaar jaraim ki kami se hi bahaal hogah..
Monday, 1 September 2014
HUMAN BEHAVIOUR...
Aj kal is bat pay aik lambi behas chalti hay k media wo dikhata hay jo loag dekhna chahtay hain ya loag wo dekhtay hain jo media dikhana chahta hay..mjhay b ye bat kafi attractive lagi k remote civilians k hath may hota hay....ap khud ko wohi dikhatay hain jo dikhana chahtay hain..lekin dusri taraf ye bat bhi zeray behas hay k media apni rating k chakar may logo ki or apni social values or ethics ko faramosh kar raha hay..
Tuesday, 19 August 2014
Political Anarchi in Pakistan...
AJ 19th august 2014 ko PAKISTAN ki surat e haal kaafi nazuk hay..
aik taraf PTI or dusri taraf PAT...or ye dono jamatain PML(N) k bharpoor khilaaf hain
har aik ka is par nukta e nazar alag alag hay..
koi khta hay k PML(N) ko puray 5 saal diye jain takay wo apni karkardagi dikha saken..
but koi khta hay k PML(N) bharpoor dhandli se ai hay..isliye na hum isko maantay hain or na e iski karkardagi ko..
shikayatin beshaq jaiZ hain but mutalbaat or tarika e kaar acha nhi hay..
kher dekhna ye hay k ab agay kiya hogah..filhal ye dono jamatain red zone may dakhil hochukin hain...or abhi tak apnay mutaalbaat par qaim hain..
agar jamhuriyat bachani hay to ksi aik ko to apnay andar lachak paida karni ho g..
lets c ye lachak kis ki taraf se paida hoti hay..
oposition leaders ki taraf se..gonverment ki taraf se..ya democracy ki taraf se..
lets hope for the best..

Subscribe to:
Posts (Atom)